6 Cool and secret tricks for Facebook Messenger ever

6 Cool and secret tricks for Facebook Messenger ever
agar aap social media user hein to aap ny Facebook messenger ka naam to lazmi suna hi hoga, aur aap daily 1 to 2 hours uska use b karty hon gy, aur aj hum bat karen gy facebook k ek feature facebook messenger ki aaj main aap ko uski kuch secret tips and tricks btaon ga jo aaj tak aap ny nahi dekhi hon gi, agar aap k pas facebook messenger download nahi hai to abi playsotre par ja kar download kar len.

facebook messenger whatsapp k bad use hony wali 2nd big android aap hai jis k through aap puri duniya k logon sy hy hello kar sakty hein, lekin ek bat zehan mein lazmi rakhen k facebook par priness k pichy baba ditta b ho sakta hai is liye soch samajh kar kisi ko ilove you boliye, 

Amazing Cool Tricks For Facebook messenger 
Lets start ab hum bat karty hein un tips and trickds ka jin ka apko main ny start mein btaya tha, aur 100% umeed karta hu k aap ko ye lazmi pasand aye gi, aur in tips ka use kar k aap apni chatting ko aur zyada enjoy kar sakty hein.

Top 6 Useful  Facebook messenger's Cool Tricks
1: Secret conversion 
Messenger par agar aap kisi dost k sath secret chat karna chat hein aur aap chahty hain k ap k messages ko us k ilwa koi dusra na read kar saky to aap secret conversion ka istamal karen.
is k liye sab sy pehly ap apne dost ki conversion ko open karen, top par mujood (i) k nishan par click karen us k bad aap go to secret conversion mein jayen, yahan par jo b message app ny send karna hai wo type karen aur apko sath mein apko clock ka icon nazar aye ga aap us par tap kar ky time set karen, jo time aap set karen gy wo poora hone par apka message ayse ghaib ho jaye ga aur aapki chat hide ho jaye gi.

2: Messenger Games
Facebook k messenger par aap apny doston k sath live games b khel skty hain, sab sy pehly app apne dost k sath chat open karen, emoji k section mein jayen, jo game app khelna chahte hain uski emoji send karen for example app basketball khelna chahte hain to basket ball send karen. emojy send ho jany k baad is par double tape karen, apki game star ho jaye gi aur jitny point app karen gy wo apke dost ko send ho jayen gy, wo khele ga to us k point b app dekh saken gy. So enjoy the trick!

3: Barcode Scan
Facebook k messenger par agar apko kisi friend ki last chat nahi mil rahi to aap us ka barcode scan kar k us ki conversion open kar skty hain is k liye aap ne sab sy pehle apne dost se messenger ka barcode le kar gallery mein save kar k rakh do, us k baad facebook messenger ko open karo, top par mujood profile icon par click karo, yahan par apka apna bar code show ho jaye ga ab app is par click karo, apka barcode open hojaye ga to app is ko hold kar k rakho gy to apke samne 2 option show ho jayen gy, Save image and share image, ap apny kisi friend ko apna barcode send karna chahte hain to app yahan se share image par click kar k asani k sath apny us friend k sath share kar sakty hein, ye boht hi amazing feature hai. aap apne dost k barcode ko scan karne k liye right slide karen ya "scan code" par click karen, apky mobile ka camera open ho jaye ga aur bottom mein dot ki sorat mein menu bar show ho jaye ga ab aap us par click karen aur gallery se apne dost ka barcode choose karo, apke dost ka barcode kuch seconds mein scan ho jaye ga aur apky samne us ki sari chat open ho jaye gi jo aap ny us ki sath ki thi.

4: Nick Name Change
Facebook Messenger par aap kisi b dost k real name ko hide karna chahty hain to aap uska nick name change kar skty hain, is k liye sab sy pehly aap apne dost ki chat open karo, (i) par click karo is k bad nicknames par click karo, yahan se aap apna nickname b change kar skte hain, apne dost ka name change karny k liye usky name par click karen aur uska jo b name ap likhna chahty hein wo likh kar set kardo, ab uski chatting mein ye hi name show hoga jo aap ny set kar diya hai aur usko b notification k through pata chal jaye ga k aap ne chatting mein uska nickname change kar dia hai.

5: Username
Facebook k profile ki tarha aap facebook k Messenger par b user name ko add ya change kar sakty hein  is k liye sab sy pehly ap apny profile icon par click karen us k bad edit username par click karen us k bad yahan par apna username type karen jo aap set karna chahty hein aur available hone ki sorat mein aap top par mujood tick par click karen. apka username set ho jaye ga 

6: Emoji change
jab b aap facebook Messenger par kisi friend ki chatting open karty hain to nichy right side mein ek like emoji laga hota hai jis ko press karny k bad aap apne dost ko  emojis send kar skty hain, aap ye replace kar k yahan par koi apny pasand ka dosra emoji b laga skty hain jo app zeyada use karty hon, is k liye 
sab sy pehl aap apne dost ki chatting ko open karen us k bad (i) emoji icon par click karen, yahan sab k sab emojis apko show ho jayen gy phir app jo b lagana chahen is par click karen, apka emoji replace ho jaye ga.

Main fully umeed karta hu k aj ki meri ye helpful tips and tricks lazmi pasand i hon gi agar pasand ayen to apny dosto k sath lazmi share karen.

Post a Comment

0 Comments