Introduction:
is article mein hum jany gy k Affiliate Marketing kya hai aur ye kese kam karti hai aur Affiliate Marketing se hum kese paise kama sakty hein aur Affiliate Marketing ko join kese kar sakta hein aur is sy Online Earning ki tips & Tricks konsi hein is post mein apko A to Z Affiliate Marketing k about tamam malumat mily gi.
Online paise kamane ka tarikon mein se Affiliate marketing ek best tarika hai jis mein aap kisi b investment k bghair bohat se income generate kar skte hein.
internet par hazaron companies apne products sell karti hein, in mein bohat si companies apne products sell karne k liaye logon ki help leti hain is k liaye aik program banaya gaya hai jis ko affiliate marketing kaha jata hai.
Agar aap kisi bhi company ka Affiliate program join karte hain To wo apko products k ads, banners ya links dete hein jin ko aap apne blog/website par lagate hain ya Facebook, Twitter, Instagram aur WhatsApp k throw promote karte hein to jo koi bhi apke links se unki website par ja kar koi product buy karta hai to apko uska commission milta hai jo company ny select kiya hota hai jo k 1$ se le kar 1000$ ya esse bhi zeyada ho skta hai yeh apke product par depend karta hai ka apke link se konsa product sell huwa hai aur iski price kya thi, jitni zeyada price ka product app sell karen gy utni ziada apki earning hogi. umeed hai ka yeh to bat aap ko achi tarha samajh aa gai ho gi k Affiliate marketing kya hai?.
Affiliate software Kya hai?
companies apne Affiliate Program ko create karne k liaye kuch mukhtalif softwares ka istamal karti hein jis se Marketing ko manage karna easy ho jata hai is software ko Affiliate software kaha jata hai.
Affiliate Marketing se Paise kaise kamayen??
Sab sy pehly ek acha sa affiliate marketing program join karen us program ko choose kren jis mein earning zyada ho aur policy b soft ho. internet par bohat si companies affiliate program provide karti hein lakin kuch fraud bhi karti hein jese k wo apni product to sell krwa leti hein aur apko apka commission nahi deti ya kuch apky laye huye customer sy pesy to le leti hein lekin usko product deliver nahi kart is trha ki fraud app aur sites sy bach kar rahen. aap kisi trusted company ko select karen jaise amazon, flipcart, alibaba etc.
ab aap unke ads banners apni website ya blogs par lagayern ya social media pages par share kren. aur kisi aysi product ka intekhab karen jo apki website k content se related ho. yahan apko yeh baat clear kardon k in adds par click ke paise nahi milen gy balke jab koi apke site par lage adds par click kar k unki site se koi product buy kare ga to usme se kuch percentage ( jo ka har company mukhtalif hota hai ) apko commission mile ga, is k liay apki site par minimum 5000+ traffic hona chahiye agar apki site par traffic low hai to phir apko kuch khas benefit nahi mily ga.
is k ilawa agar aap affiliate marketing k liaye alag se ek blog ya website create karen, kisi aik product ya category ko target karen jis me apka interest ho . example: agar aap Mobile Accessories ko promote karna chahte hein to ap isi sy related name ka domain buy karen, agar apko is name ka domain nahi milta to app kisi dosry product ko target karen jis name ka domain apko asani se mil jaye. phir aap is keyword k mutabik apne blog ki on page seo karen aur sirf aysi product ko apne blog par promote karen.
aap ne karna kuch is tarha hai k jo bhi product app apne blog par sell karna chahte hain uski aik pic apne pass save kar lo ab aap blog par new post likho, subse pehle us product ke title ko copy karo aur apne post k title me likho, image ko post me add karo aur is product ki jitni bhi detail apky pas hai wo sab ki sab apni post me likho. ab app apni taraf se product k related thora bohat likho aur jo bhi content aap ne copy paste kia hai usko thora bohat change karo agar sara content same dusri site ki tarha ho ga to apka blog ya site rank nahi kare ga aur na us par traffic ayegi aur na hi earning ho gi is liye is mein thori bohat changing zarori hai.
ab aap goolge par shop now button search karen aur apni post me add karden iske baad aap is button me apna affiliate link add karen. is sy jo bhi apki product buy krna chahy ga wo wo is button par click karke aap k link k through buy kare ga aur apki earning ho gi.
so friends is tarha ek to apka blog b bohat jaldi rank kare ga aur jo bhi organic search se traffic ayga un mein sy zeyada users buyer honge aur apky products zeyada sell hone k chances b honge, yeh to aap ko achi tarha malom ho ga k jitni sell ziada hogi utni zeyada earning hogi. is ko try kren aur comment mein kuch b problem ho hamary sath share karen.
Important Note: aap domain buy karne aur blog start karne se pehly keyword research zaror karen aur jis keyword par searches ziada aur competition low ho aap us keyword par kaam karen insha allah apka blog bohat jaldi rank kare ga. agar ap ko blog banany ya hosting aur domain buy karny mein koi problem ho to aap humari help bhi ly sakty hein.
Kya affiliate marketing k liaye website ya blog ka hona zarori hai??
G nahi Affiliate marketing k liaye website ya blog ka hona zarori nahi hai, aap chahen to ya kam social media par kam kar k affiliate marketing kar k paisa kama skte hein. agar aap k paas aik zeyada followers aur likes wala facebook page hai ya app online shopping ya jin products ki promotion karna chahte hain uske related groups ko join karen. is k ilawa agar aap k paas ek youtube channel hai aur us par kafi zyada subscribers hein aur apki videos par achy khasy views aty hain to aap is par b affiliate marketing kar k kafi paise kama skte hain.
YouTube Par Affiliate Marketing Sy paise kaise kamayen??
Youtube bhi Affiliate Marketing k liye best platform hai jis par aap products ka review kar k bohat zeyda sells kar sakty hein, Subse pehly aap k pass ek youtube channel hona chahiaye jis par kafi zeyada subscribers hon, us channel par aap apni videos me top 5 se 10 products ka review karen aur un products ka referral link video ki description me dal den, ab agar kisi users ko in mein se koi product pasand ati hai to wo apky referral link k through us ko buy kare ga. so yeh bhi aik best way hai but iska result kya milta hai yeh apki mehnat par depend karta hai.
Affiliate Marketing kya hai aur is se Paise Kaise Kamayen??
konsi company affiliate program deti hai kesy maloom karen??
internet par hazaron companies kaam karti hein lekin har company affiliate program nahi deti aap ko kaise pata chale ga ka konsi company affiliate program deti hai is kl iaye google par company k name ka sath Affiliate likh kar search karen jese k: alibaba affiliate. agar woh affiliate program deti hogi to google par apko uska link mil jay ga.
Company Affiliate marketing program join karny k kitny charges leti hein??
Affiliate program join karne k koi charges nahi hain ye bilkul free of cost hota hai, agar koi company apse charges mangti hai to aap usko join na karen q k ye fraud company hai. company ko apni product sell karni hoti hai na k aap sy pesy leny hoty hein. jo aap sy paise mangy aysi company apko koi benefit nahi degi yeh sarasar fraud aur dhoka hai.
Keya Affiliate marketing Ads ko Google AdSense k sath use kar skte hein??
bohat sy bloggers Google AdSense k sath Affiliate marketing k ads is liye use nahi karty k wo darty hein ka AdSense ka sath Affiliate marketing k ads lagane se hamara adsense account close hojaye ga, is waja se wo Affiliate marketing sy income nahi karty.
aj main unko ye bat clear kar don k google AdSense is ko allow karta hai aap befikar ho kar Affiliate Links laga skty hein is sy apke AdSense account me koi issue nahi aaye ga. aap google AdSense ka alternative Adsterra etc k ads AdSense k sath nahi laga skty.
Affiliate marketing companies Payment kaise deti hein??
har company ka payment method mukhtalif hota hai. jaise k bank transfer, paypal, payoneer, bitcoin etc. app easily apne bank account me money transfer karwa skte hain.
Affiliate Marketing kya hai aur is se Paise Kaise Kamayen??
Final Words:
Main umeed karta hon k aap bohat achi tarha sy samasjh gaye hon gy k Affiliate Marketing Kya hai? or Affiliate marketing se Paise Kaisy Kama sakty hein. Affiliate Marketing sy related apke mind mein agar koi sawal hai to ap whatsapp, eamail ya comment box mein puch saskty hein. Main insha.Allah apko jaldi answer deny ki koshish karon ga.
kaam start karne se start karne se pahle Apko Affiliate Marketing kya Hai ki mukamal information honi chahiya uske baad aap ne mehnat lagan aur mustaqil mizagi ka sath kaam start karna hai. koi b kaam mehnat sy hota hai ek hi raat mein aap ameer nahi ho sakty is liye mehnat jari rakhein.
Friends! Umeed karta hon k Affiliate Marketing sy related ye post ap ko pasand i ho gi app isko social media par aur apny doston k sath share karna mat bholna. Allah Hafiz
2 Comments
Good chaco g😂💕
ReplyDeleteChaho g ap k har link ko follow kar leya ha aghar follow back na kia to ma gar awa jaow ga😂😂😂
ReplyDelete