What is fiverr - Fiverr Se Paise Kaise Kamayen? how to earn money via fiverr

What is fiverr - Fiverr Se Paise Kaise Kamayen? how to earn money via fiverr
welcome back dosto kesy hein aap sab umeed karta hu k aap sab khairiyat sy hon gy aj main aap k liye ek bohat hi khas information ly kar aya hu jis k through aap ghar beth kar ba asani online money earning kar sakty hein mehngai k is door mein jitny b income source hon kam lgty hein to aaj apki usi pareshani ko samny rakhty huye main apko ek boht hi achy platform k bary mein info du ga jis ka use kar k aap online earning kar sakty hein without any investment wo b apni marzi k hours mein bus us k liye aap k paas ek computer ya laptop aur internet ka hona zaruri hai to chalen start karty hein aaj ka humara article without any late.

Fiverr Se Paise Kaise Kamaye?

fiverr ka ek ayesa network hai jis par apni service dy kar aap minimum 5$ kama sakty hein jitna zyada kaam utny zyada earning ye ayes plateform hai k is par daily free lancers ko hazaron $ payment ki jati hai bus aapko is par apni service ki ads deni hein aur sath apni service ki fee likhni hai client apksy rabta kare ga aur aap sy service ly ga aur apko payment kary ga.

Fiverr kya hai?
Fiverr ko aap ek online market keh skty hein jis par aap apni services ko sell karty hein. is ka aghaz 2010 mein kiya gya tha jo freelancers ka maqbool tareen platform ban chuka hai jo seller and buyer mein ek secure deal karwata hai aur apoki payment ko b secure karta hai apki mehnat ko zaya nahi hony deta.
Fiverr par, aap ko har qisam ki services sy related lakhoon gigs yani ads milen gy. chahay aap designer, web developer, wakeel, ya koi artist ho, fiverr par koi na koi apko mil jaye ga jisko aap ki need hai aur wo apko apki khidmat k badly achi income pay kare ga.
Fiverr par post kiye huye ads ko"gigs" kaha jata hai aur un mein se bohat se sirf 5 USD dollar se start hoti hain aur maximum hazaron $ tak jati hein lehaza isi waja se company ka naam is waqat top par hai. 
Buyers ko without any problem freelancer se connect kar k Fiverr online service exchange ki tarha karne wali ek bohat big website hai.

Fiverr kaisay kaam karta hai?
Fiverr ka kam karny ka tarika bohat hi simple hai agar aap k pas koi skill hai to aap usko fiver par sell karty hein aur us sy faida uthaty hein. ayesa skill jis mein apko aboor hasil ho aur aap usko acht tariky sy kar sako bas aap ko aur kuch nahi karna fiverr par ja kar ek account bnayen apna mukamal info deny k bad account ko complete karen us k bad wahan par apni skills sy related koi gig bna kar dal dyn jesy k agar aap logo create kar sakty hein to us sy related gig bnayen jis k liye ek achi si photo b design karen jo clients ko attract kar saky aur wo appki service ko purchase kareny k liye razi ho jaye client aap ki gig k through aap sy rabta kare ga aur aap us ka kam complete karen gy to client k account sy raqqm aap k account transfer ho jaye gi jis ko aap apni local bank mein easily niklwa sako gy aur is tarha apy skills apko faida dyn gy.

Aap ka skill jo bhi hai, fiverr aap k us skill ko baqi online duniya k sath share karny ka mauqa faraham karta hai. aur sab se achi bat ye hai k aap apni pasand ka kaam karte huye online paise kama satke hain.

fiverr mein jobs ki talash karny ka amal kaafi easy aur simple hota hai. lekin pehle fiverr ki working method ko samajhna zurori hai. chalen aapko bata hu k fiverr kaisay kaam karta hai:

Sellers: agar aap freelancers k tor par kaam karna chahty hain, to aap " Seller" samjhay jaty hain. Sellers apni pasand ki services ki list dety hein jo wo provide kar sakty hein aur sath mein un services ki prices b mention karna zaruri hai.

Buyers: Agar aap koi service purchase karna chahtay hain to, aap" buyer" hain. buyer k paas kuch kaam hai jis k liye usay usko ayesa banda chahiye jo us kaam mein maharat rakhta hai to wo fiverr par find kary ga k kon hai jo is qabil hai k us k is kaam ko complete kar saky aur wo us k iwaz usko payment kary ga.

Fiverr ek connective platform hai, jis ka matlab hai ke seller aur buyer dono aik dosray ko talaash karne k liye fiverr par jama hoty hain. buyer seller ek dusry ko profile k through browse kar saktay hain jo un ki zaroriat ko poora karte hain.

Fiverr par account kaise banaye?
fiverr par online earning k liye aap ko registered hona zurori hai. jis k liye aap ka pehla kaam ye hai k aap aik naya account k liye fiverr ki website par sign up karen. ek baar jab aap apni contact ki info inter karen to  to apna email addsree b write karen jis par aapko ek verification code mily ga jisko enter karny k baad apka account active ho jaye ga.

Fiverr par gig kaise banaye?
agar aap ny fiverr par apna seller account bnna liya hai to aap apny skill sy related buyers k sath bat cheet aur deal karny karny k liye ek gig ready karen. aap ko apni service, requirements aur unki prices likhni hon gi aur usky liye attractive content ka use karen.

Fiverr kitny paisy leta hai?
fiverr ki website par account create karna bilkul free hai. browsing karne k liye b aap ko ek paisa b kharch nahi karna hoga.
agar apki gig ki price 40$ sy kam hai to fiverr uski 2% fee ly ga aur agar 40$ sy zyada ki gig hai to fiverr uski fee 5% tak ly ga is k ilawa is k koi b hidden charges nahi hoty.

is k ilawa aap fiver ki payment 2 method sy ly sakty hein paypal and pyoneer dono methods hi authentic hein aap easy ho kar inka use kar sakty hein umeed karta hu aaj ka article aapko pasand aya ho ga apny dosto k sath lazmi share karen aur mujhy apni duaon mein bhi yad rakhen Allah Hafi.

Post a Comment

0 Comments