Google kya hai? What is google in hindi and urdu
Google ek American multinational Technology company hai jo internet sy related bohat sari useful services, tools aur product hum ko provide karti hai, Google ko Stanford University mein Ph.D. karne wale 2 Students Larry page, aur Sergey Brin ne 1996 mein banaya tha aur is k create karny ka maqsad internet se koi b cheez ya file file search karna tha.
2 saal guzar jany k baad google k creators baad sergey Brin aur Larry Page ko ye mehsoos hua k wo google ki waja sy apni study par zeyada socus nahi kar paa rahy phir unhon google ko sell karne ka socha, is k liye unho ny Excite Company k CEO George Bell ko 10 Lakh mein sell karne ki offer ki jis ko George Bell ny Thukra Diya, Bad mein Vinhod Khosla sy Baat Cheet ka baad 750000 Dollar mein Deal final huwi.
Starting k days mein google Stanford University ki website subdomain google.stanford.edu k naam sy kaam karta tha, 15 September 1997 ko is ka apna Domain google.com register huwa aur 4 September 1998 ko google ek official company ban kar samny aya.
Google ka full name kya hai?
Google ka full naam "Global Organization of Oriented Group Language of Earth" hai aap is ko is tarha b read kar sakty hein, G= Global, O= Organization, of, G= Group, L= Language, of, E= Earth.
Google Kon Konsi Service provide karta hai?
Google ab duniya ki sab sy badi tech company ban chuka hai ye bohat sary tools free mein provide karta hai jo aj k door mein hum sab ki bohat eham zarurat hai. Google ki sab sy main service Search Engine hai jisko hum kisi b cheez ko search karny k liye use karty hein google hamen uskay lakho results provide karta hai.
- Search Engine: Google ki sab sy big and first service search engine hai aur ye sab se zeyada Popular hai aap google.com par jo b word likh kar search karen gy google apko us sy related, lakhon result show kare ga wo b seconds sy b kam time mein.
- Android: ye ek mobile ka operating system hai, jo is waqat Duniya mein sub sy zeyada use kia jany wala os hai.
- Youtube: Ye ek video sharing app hai, is k about b aj kal bacha bacha janta hai yahan par hum ko bohat sari useful info aur news etc milti hein ye b google ka ek bohat kamal ka feature hai. iski ranking All world mein number 2 par hai, is par daily lakhon ki tadad mein videos upload ki jati hain aur daily billion log videos watch karte hain, is par aap b apna khud ka channel bana kar apni videos upload kar skte hain aur aap apna channel monetize karwa kar is sy achy khasy paisy b kama sakty hein.
- Blogger: Blogger website banany walon ki ankhon ka tara hai ye apko free mein blog space provide karta hai jis par aap koi b paisa invest kiye bina apna khud ka ek blog bana kar us se services dy sakty hein aur online earning kar sakty hein. is par aap free mein apni website create kar skte hain.
- Gmail: gmailb google ki ek free aur kamal ki service hai is k account sy aap free Email send kar skte hain aur google ki all services ko access karne k liye ek gmail account ka use kia jata hai.
- Google Adsense: Online earning ka badsha kaha jaye to ye thek ho ga ye Advertiser sy ads le kar different websites par ads show karta hai aur website owner ko is ki income deta hai. agar b ek website k owner hein aur aap b google adsense sy online earning karna chahty hein website par article mohjud hai isko read karen: Google Adsense Kya hai - Google AdSense se paise kese kamayen?
- Play store: Android apps ka ek huge store hai jis par aap jesi chahen app ko apny mobile mein install kar skte hain.
- Google Adword: Adword k Through aap apne business k ads dosri websites par place karty hein aur apko is k liye google ko payment karni parti hai.
- Google Analytics: ye feature web sites k owners k liye hai is ka use kar k aap apni website ki performance check kar skte hain k apki site par daily users kitny aaty hein aur kahan kahan se aaty hain.
- Google Webmaster tools: Webmaster tool ka use kar k aap apni website ko google search engine mein index karwate hain. phir aap ki website b google search k results mein show hona shuru ho jaye gi.
- Google Chrome: ye ek kamal ka bohat hi best web browser hai jo search engine ki service provide karta hai aur is waqat ye world ka sub se popular browser hai.
- Google Earth: aap is par kisi b user ki earth location, direction, dekh skte hain is sy aap duniya ki koi b jaga find kar sakty hein aap safar k doran is ka use karty hein jis sy aap asani sy apni manzil tak pohanch sakty hein.
- Google News: ye news ki top site sy news le kar visitor ko show karti hai. is k use website owner b karty hein q k isy sy unko huge traffic milti hai.
- Google Photos: is par aap apni personal photos ko store kar sakte hain aur jab b ap chaho kisi b jaga par apna google account login kar k unko dekh sakty hein.
- Google Translator: ye ek bohat hi kamal ka feature hai is ki madad sy aap duniya ki koi b zuban translate kar sakjty hein aur asani k sath usko samjh sakty hein.
- Google Url Shortener: is par aap kisi b long link ko short karty hein ta k wo aap asani sy share kar sako.
- Google Wallet: Google Wallet ek safe method hai jis sy aap online buy and sell kar sakty hein aur is sy apki raqam khony ka dar bhi nahi hai.
- Google Books: ye ek books ka store hai jis par apko lakhon ki tadad mein books mil jati hain jinko aap apny pc ya mobile par aap online read b kar skte hain aur aap bohat sari info muft mein hasil kar sakty hein.
G to dosto umeed karta hu k apko ye post bohat pasand i ho gi agar ye pasand aya to lazmi apny dosto k sth share karen hamesha khush rahen jazak Allah.
0 Comments