Google Adsense Kya hai aur Kaise kaam karta hai
Google Adsense CPC (click per Cost) k tor par kam karta hai, yani ye apko per click k hisab sy earning deta hai Google Adsense ko Google ny banaya hai Adsense is waqat duniya ka sab sy zeyada popular online earning source hai, is ka use kar k bloggers aur website k owners aur youtuber is sy monthly lakhon k hisab sy paisy kama rahy hein. ye aap ko cpc aur cpm dono type ki earning deta hai.
google Adsense, Adword k through advertiser sy ads leta hai aur phir unko publisher ki website par place karata hai phir un website k visitors jab ads par click karty hein to Adsense advertiser sy paise lekar 68% revenue website k owner ko deta hai aur 32% raqam google khud rakh leta hai yani agar apki website par Adsense k ads live hein aur koi b visitor ad par click kary aur us ad ki price 100 pkr hai to google us mein sy 68 pkr aapky adsene account mein transfer kar dy ga aur 32 pkr wo khud apny rakh ly ga.
jo banda apny business blog ya website ko kisi dusry ki website par ads lgwa kar promote karwata hai usko hum advertiser kehty hein aur jo bnda dusron k ads apni website par place karta hai usko hum publisher kehty hein.
Google ki tarha aur b bohat sary ad network market mein kam kar rahy hein kuch ka zikar karta hu media net, biadvertiser, ezoic, Chitika, Adnew, infolink, popads, adsterra etc. lekin agar best ki bat ki jaye to wo siraf google adsense hi hai jo apko zyada revenue deta hai.
google Adsense se Hum Kitne Paise kama skte hain?
google adsense ka use kar k aap kitne paise kama skty hain ye bohat si cheezon par depend karta hai jesy k apke blog ki traffic, blog niche, Ad placement, high paying keyword, matlab sub sy pehle ye dekhna hota hai k apky blog par daily kitni traffic aati hai aur wo traffic kis kis country ki hai, apke blog ki niche/topic konsa hai, aap ne apny blog par kahan kahan ads place kiye huye hain, aap ny content mein high paying keyword kitne use kiye hein. har country ka cpc different hota hai agar apko zeyada traffic Pakistan aur India se milti hai to apki earning zyada nahi hogi aur agar apky blog par traffic USA UK Canada france Germany Belgium etc sy aata hai to apko bohat zyada earning ho gi.
keyword k hisab sy CPC mukhtalif hota hai, apko ek click k 10$ b mil sakty hain aur aik click k 0.01$ b mil skty hein aap CPC ko high paying keyword use kar k increase kar skty hain.
Adsense paise kamane k liye hame kya karna hoga
agar apko online earning google adsense k through karni hai to sab sy pehly apko apni website banani ho gi jo k aap bilkul free google k hi ek project Blogger par create kar sakty hein us k bad aap apne interest k mutabiq topic choose karen phir apni website par posts article write karen unki seo karen aur unko google search console mein index karen ta k google sy apki website par traffic aye, jab apki website 6 months purani ho jaye aur apki website par daily base par 100 se 200 tak traffic aana shuru ho jaye to aap ny Google AdSense Approval k liye apply karna hai, 7 sy lekar 14 days mein apka Adsense approved ho jaye ga aur apki website par ads show hone lagen gy kisi kisi lucky person ko 24 hours mein b Google AdSense Approval b mil jata hai.
Google AdSense k liye Apply kaise kare?
Yaad rahe k aap ne apni website par 100% unique aur khud k likhy howy articles hi publish karny hain, agar kisi ki post copy kar k aap apne blog par publish karen gay to apka Adsense account approved nahi hoga apko low velue content ka error aa jaye ga aur aap google Adsense se earning nahi kar sako gay, is k ilawa aap ne apne blog par koi acha sa responsive theme install karna hai aur SEO par Pora focus karna hai aur quality content publish karna hai.
0 Comments