Digital Marketing Kya hai?full info about Online marketing in Urdu Hindi

Digital Marketing Kya hai?full info about Online marketing in Urdu Hindi
What is digital marketing. Digital Marketing kya hai? Aj k is jadeed door mein latest Technology ny insan ka har kaam bohat asaan kar dia hai ab business karna aur paisa kamana pehly ki nisbat bohat asan hai bus apko kuch malomat honi chahiye jo main ap ko aj k is article mein du ga, lekin is k liye talented hona bohat zarori hai, aur wo ap is post ko complete read kar k hasil kar sakty hein, aur phir aap apne talent ka use karty huwe ghar beth kar business kar skte hain aur achi khasi income generate kar skte hain. ladies jo ghar sy bahar nahi ja sakti unky k liye golden chance hai k wo easily ghar beth kar b paisa kama sakti hein.
aaj ka humara topic Digital Marketing k related hai jis mein main apko bataon ga What is Digital Marketing, Digital Marketing Kaise karen aur Digital marketing mein Sab sy zeyada use hony waly components kon kon se hein. So Read the Complete Article to increase Your Knowledge about digital marketing.

Digital Marketing Kya hai - What is Digital Marketing in Hindi
Digital Marketing ko aam feham zuban mein hum Internet marketing, web marketing ya online marketing b keh sakty hein, Digital Devices ( Computer, Laptop, Mobile, Tabelets) ka istmal karte howe internet ki madad se jo business ya marketing ki jati hai us ko hi Digital marketing kaha jata hai.
is mein hum apni products ko apni website ya phir social media platform par promote karty hain aur bohat se log big and biggest ecommerce Websites jaisy Daraz, Alibaba, Amazon, Flipcart etc. par apni products ko sell kar ky huge money earn karty hain.
is k ilwa apni website ya blog bana kar apny business ko promote karna ya phir facebook pages ya facebook groups par apni products ko promote kar k paisa kamana ye sub kuch b Digital marketing kehlata hai, is par aap Individually b kaam start kar skte hain. Digital marketing mein bohat sy component hain aj hum un mein se jo popular kuch components hein un par baat karen gy.
  1. Search Engine Optimization (SEO)
  2. Search Engine Marketing (SEM)
  3. Affiliate Marketing
  4. Email Marketing
  5. Social Media Marketing (SMM)
  6. Content Marketing
(SEO) Search engine optimization keya hai?
SEO ek bohat hi zaruri cheez hai isko basically search engine jaise google, yahoo, bing etc. mein apni website ko rank karwany aur search engine sy organically traffic increase karny k liye use kiya jata hai, SEO ek bohat badi filed hai, apky liye is par already main detail k sath ek long article likh chuka hon aap isi site py wo search kar k read karen aur us sy faida uthayen. 

(SEM)  Search engine Marketing Keya Hai?
SEM ki full form Search engine Marketing hai, bilkul jis tarha SEO ko search engine sy traffic lany k liye use karty hein bilkul usi tarha SEM b search engine sy traffic lane k liye use kiya jata hai lekin SEO se hum bilkul free mein search engine se traffic increase karty hein lekin SEM search engine se traffic leny k liye hum paisy kharch karna party hein q k us sy just paid traffic buy kar sakty hein free nahi.
Search engine marketing karny k liye apko google k ek tool adword k through advertisement karni parti hai jis se apki website k ads bana kar ap google mein run karty hein jis sy apki website ya blog ki traffic increase hoti hai, agar aap website par koi product sell kar rahe hain to apki sell mein b izafa hoga, aap ny aksar dekha hoga k jab b aap google mein kuch b search karte hein to top par apko 1 ya 2 ads dekhne ko milty hain, ye hi advertisement SEM kehlati hai. 

Affiliate Marketing Keya hai?
Affiliate Marketing b online earning ka ek bohat easy method hai jis mein hum dosron ki products ko promote kar k unko sale karty hein aur paise kamate hain, bohat si  eCommerce website Affiliate programs provide karti hain jis ko join karne k baad aap unki products ka Affiliate link bana kar us ko apni website ya social media par share karty hein aur jab b koi us link ko open kar k koi b cheez buy karta hai to apko company apka profit deti hai.
Affiliate Marketing par b main Already detail k sath ek post likh chuka hon aap wo read karen aur online money earning karen.

Email Marketing Kya hai
Email k through apne business ko promote karny ko email marketing kaha jata hai, Email marketing k through aap apni website ki traffic ko increase kar skty hain. aap ne aksar dekha hoga k aksar website par news latter ka ek box mojood hota hai jis box mein aap apna email add kar k subscribe karte hain to jab b us website par koi new post publish hoti hai to apko apky inbox mein us post ka notification mil jata hai aur aap apne inbox se hi un ki website par visit kar skty hain.
is method sy website ki traffic increase hoti hai,

(SMM) Social Media Marketing keya hai?
agar aap apny brand, product ya phir apni website ya blog ko social media par jese k facebook, Twitter, LinkedIn, Instagram youtube etc. par promote karty hein to ye social media marketing kehlata hai, social media khas kar facebook online marketing k liye ek bohat bada easy aur best platform hai.
aj kal jis ka paas b mobile aur internet mujood hai wo facebook lazmi use karta hai, aap b agar social media marketing karty hain to is sy apko bohat zeyada benefit mily ga q k aj kal ye method sab sy zeyada use hota hai q k ye free hai is par ap without any investment b promotion kar sakty hein aur online earning kar sakty hein,

Content Marketing keya hai?
Content marketing ko ap web site ya youtube etc par use kar sakty hein, is mein aap apni product promote karne k liye aur apny buyer ko attract karne k liye apni product sy related content create karty hein, yeh content image, text ya phir video format mein bhi ho skta hai. for Example: agar aap apna koi product promote karte hain to is k liye aap ek ad type banner bana kar usko apny buyer k samny rakhen ya phir ap apni products k related ek video bnayen aur usko apny youtube channel par upload kar dyn ta k usko dekh kar buyer apki product k about tamam malumat le saky.

Digital Marketing Kaise karen?
Digital Marketing mein kaam karne k liye sub sy pehly kisi ek component ko choose karen jis mein aap ko maharat hasil ho aur aap us mein interested b hon phir usko achi tarha learn karen, Digital marketing k mukhtalif courses b hoty hai aap chahen to us course k through completely digital marketing ko learn kar skte hai.
Digital Marketing mein expert banny k baad aap is mein kaam karen. aap kisi ek compunent ko target karen aur us par pora focus karen, is par Mehnat, lagan aur mustaqil mizaji k sath kaam karen insha allah aap successful  ho jao ge.
Mujhe umeed hai apko What is Digital Marketing in hindi post bohat pasand i hogi aur ap ny is sy kafi kuch seekha b ho ga ab aap jaan gaye hon gy k Digital Marketing keya hai aur is par kaam kaise karen, agar koi sawal hoto comment section mein puch liya karen aur agar ye post pasand aye to social media par share karen, aur mujh ko apni duaon mein yaad rakhiaye ga- Allah Hafiz

Post a Comment

0 Comments