Content Marketing keya hoti Hai aur Content Marketing kaise karen in Urdu Hindi

Content Marketing keya hoti Hai aur Content Marketing kaise karen in Urdu Hindi

Content Marketing in Hindi

Dost aaj k article mein apko welocom karta hu aaj ki is post mein hum ye jane gy k Content Marketing kya hoti hai aur hum is marketing ko kaise karen, is sy pichly article mein main ny apko SMM yani social media marketing k bare mein mukamal tafseel sy bataya tha agar aap ny mera wo article miss kar diya hai to jaa kar again usko parh lo, Content Marketing k liye Social Media Marketing k about malommat hona bohat zaruri hai us k bina aap content marketing nahi kar sakty. 

content marketing online marketing ka ek bohat hi lazmi aur eham hissa hai is ko jany bina aap online ya digital marketing mein kamyab nahi ho sakty is liye is par lazmi sy focus karen. aaj k article ko complete read karen q k aj k is article mein main apko content marketing ki jobs k bary mein bhi btaon ga. jis ko ghar beth kar kar k aap online earning kar sakty hein to chalen start karty hein

What is Content Marketing in Hindi - Content Marketing Keya Hai?
Apne business ki promotion karne k liye apni products ya online business sy related contentbana kar usko promote ya share karny ko content marketing kehtyu hein. Content Marketing mein hum apni products ko promote karny k liye ayesa content create karna parta hai jo customers ko attract kare q k content jitna acha ho ga utny costomer humari product ko buy karny ayen gy. content create kar k usko social media par share kasrna sab sy zeyada faida deta hai ye paid and free dono tarha sy kiya ja sakta hai. hum apni products ya business sy related content ko Video, Audio, Infographic, Image ya phir text  ki shakal mein create kar sakty hein bus content mein janm aur attraction honi chahiye. ta k buyer ko malkoom ho saky k apki products ya service mein kya khaas bat hai.

agar buyer ko apka content acha lagta hai aur usko attract karta hai to wo apki product ko lazmi buy kare ga ye aap par depend karta hai k aap kitna attractive content create kar sakty hain jitna zeyada best content hoga utni ziada sell hone k chances bar jayen gy aur utna hi apko benifit milta rahy ga.
chalen ab hum Content Marketing k kuch parts k about baat karte hain.

Content Marketing K Kuch important Parts
1. Text Content:  Text mein hum apni products k related logon ko malomat dena aur apni products k khas features ko mention karna text content kehlata hai, simple words mein baat ki jaye to apni product ki ek long attractive description ko write karna hi content writing kehlata hai.

2. Web Content: Agar aap ki koi website ya blog haio to aap us par apni product ya services ki koi achi si post write aur publish karen gy jis mein ap ki producty ki complete malumat ho jis mein aap rext, video, aur images b daal sakty ho web content kehlata hai.apni product ki achi si post create kar k blog ya website par publish karna web content kehlata hai,  Web Content ki achi si SEO karni parti hai ta k google se b log apky blog ya website ko visit karen.

3. Image: content marketing mein images bohat hi zaruri hein, is meinaap apni product kai achi si image bana kar promote kar skte hain jaise k aap ny dekha ho ga bohat si companies promotion k liye apne brand ka banner Design karwati hain aur phir us sy advertisement ka through promote karti hain, aap b isi tarha apny product ki image ready karen aur phir advertisement k through ya phir us image ko social media par share kar k apni services ko promote kar skte hain.

4. infographic: Content marketing ki dunya mein infographic ek bohat hi khaas role play karta hai, ye ek big image hoti hai jis mein graphics ka use  kar k hum statics, Charts, aur graph ki information dety hein, infographic ko understand karna kafi easy hota hai aur ye bohat zeyada intersting aur attractive hota hai.

5. Video: aaj kal ki sub se popular aur important part video hai, is mein aap apni product k review ya phir apni product k about ek attractive video bana kar aap  youtube ya phir facebook par upload kar sakty hein but video achy sy edit ki ho aur us mein achy effect ka use lazmi karen, agar aap youtube ka use karty hein to aap ny youtube par video ads to dekhe hi hon gy wo b video content hi hota hai.

agar Content marketing ki baat ki jaye to is  k liye sub se zarori cheez awareness hai, matlab aap jo b content aap create karte hain usko logon tak kesy pohnchaya jaye ta keh wo apki products k bare mein achi tarha malomat hasil kar saken,
is tarha sy aap Content Marketing mein Successful ho skte hain, ye to aap jaan hi chuke hain k Content Marketing keya hota hai aur ye b aap ne andaza laga liya hoga k is par kaam kaise kiya ja sakta hai ye kafi easy hai agar samjha jaye to ayen ab hum jaan lety hain k content marketing job kaise karen aur hum us Job ko kese find kar sakty hein?

Content Marketing Job Kaise karen?
Agar aap Content Marketing job karna chahty hein to ye job karne k liye pehly in baton ko mind mein achi tarha set kar len.
1. Ghraphic Designing: Content marketing job karne k liye apko Graphic Designing ka ilm lazmi hona chahiye, jab b apko kisi product ka banner, ads, ya cover banana parre aap acha aur professional banner design kar sken.

2. Video Editing: video editing Apps ya editing software k bare mein mukaml malumat honi chahiaye aur aap kisi b product ki high quality video edit aur create kar skte hon.

3. Content Marketing ki Malomat: Content Marketing ki job karne k liye apko Content Marketing sy related mukamal malomat hona zaruri hai.

4. Social Media Markeing: Content Marketing Job k liye Social Media Markting ki thori bohat malumat hona bhi aap k liye kafi faida mand sabit ho ga Q k Content ko promote karne  k liye social media platform ka use b kiya jata hai.

5. Facebook Page Managment: Content Marketing ki job k liye apko facebook page k related all information ka hona zaruri hai aur apko ye pata ho k facebook page ko kese manage karna hai. Q k aaj k is article mein apko is k about b btany ja rha hon to lazmi read karen.

Agar aap in chezon mein expert hain to aap content marketing ki jobs asani se kar skte hain, ab aap ne job find karni hain is k liye aap facebook par jayen aur kuch is tarha k page find karen jis par online chezain sell ki jati hon, for example Foods, shoes, jeowly etc. phir in pages mein se un pages ko select karen jin par kuch khas posts nahi ki jati hon aur apko lagata ho k in ko kisi content writer ki nzarurt hai, to aap unko inbox mein msg karen ya un sy un k contact par rabta karen aur un ko apny skills k about btayen aur ap unko ye btayen k ap un k liye acha content create kar k unki sells ko bada sakty hein..
is tarha aap mukhtalif pages ka owner k sath contact karte rahen kisi na kisi ko content writer ki talash lazmi hogi aur wo apse deal final karne k liye razi b ho jaye ga, yaad rahe k aapne apne area k pages ko find karna hai ta keh koi apko face to face deal karne k liye bulay to aap asani se ja sken. ek page ko manage karne ka 1000 se 10000 tak mil skta hai, agar aap 3 pages ko manage karen to aap achi khasi income generate kar skte hain.

I hope apko meri aaj ki Content Marketing ki ye post achi lagi hogi aur aap samajh gay hon gy k content Marketing kaise karte hain. agar apko meri aaj ki ye post pasand aye to social media par share lazmi karen ta k dosry log b is sy faida utha saken, agar koi issue ho to comment mein poch sakty hein apna khayal rakhen Allah Hafiz.

Post a Comment

0 Comments