What is Capacitor
aj k article mein aap sabko welcome dosto aj apko technology k ek munfarid part k bary mein info du ga aj ki is Post mein main aap ko btaon ga k capacitor keya hai is ki kitni types hein aur ye kya kam sar anjam deta hai aur ye kis jaga par use hota hai..
What is capacitor types and working
capacitor ka zikar karen to basically ye ek electronic component hai jis mein k 2 pins lagi hoti hain jis mein ek pin ka size small hota hai aur dusri thori long hoti hai. ye fark is liye rakha jata hai k pehchan ho saky k konsi side positive aur konsi negitive hai, jo badi pin hoti hai wo positive hoti hai aur jo chhoti hoti hai wo negitive hoti hai. Capacitor ki power ko show karny k liye us k uper plastic k sticker ya capacitor ki body par uf, nf,pf type k words likhy hoty hein. F k meanings hein Fread, ye ek bohat bada unit hai jisko aagy bohat sy small unit mein dived kiya gya hai ta k asani rahy.
Jese k pico Fread ko (pf), aur Nano Fread ko (nf) aur Micro Fread ko (uf) kaha jata hai ye hamare computers aur mobile aur bohat sary electronics components ka ek eham hissa hai is mein power k sath sath voltage ki bardasht b likhi hoti hai, agar ek jaga 25 volts k capacitor ki need hai aur aap wahan 15 volt ka capacitor laga dety hein to phat jaye ga wo kam nahi kary ga is liye voltage ko dekh kar hi capacitor ko replace karen.
Capacitor Kese Work Karta Hai?
Ab bat karty hein k capacitor ki working kesy hoti hai ye kese kam kar k humari madad karta hai, is k andar 2 plates hoti hain aur mid mein kuch jaga khali hoti hai ya koi esa metal lga hota hai jis sy current flow nahi karta. for example plastic, glass etc. jab hum capacitor ko current dety hain to wo plate mein jama hota rehta hai jitni uski ki bardasht hoti hai jb wo full ho jata hai to wo current aagy supply karna start kar deta hai, capacitor actual mein dekha jaye to ek filter ki tarha kam karta hai.
ye bat hamesha yaad rakhen k is mein currant bohat thori miqdar mein charge hota hai foran charge aur discharge ho jata hai aap ne aksar dekha hoga k jab aap charger apne bord se unplug kar dety hain to b kuch time tak apke charger ki LED jali rehti hai aur phir kuch seconds bad band ho jati hai keya aap ne kabi gor kiya hai k ayesa Q hota hai, ayesa apke charger mein lage huye capacitor k charge hony ki waja se hota hai jab ye discharge ho jata hai to apki LED band ho jati hai.
Capacitor Types
capacitor ki 3 types hai
- Polarize capacitor
- non polarize capacitor
- Variable capacitor
Polorise capcitor:
polarize capacitors mein positive negative ponts hoty hein is ko hum sirf DC chezon mein use kar skte hain hum is type ko AC mein use nahi kar skte aap soch rahe hon gy k ayesa Q hai , wo is liye k AC current kuch is tarha chalta hai k positive negative positive negative Ac ek oper k half cycle to chala jayega lekin dosra half cycle nahi jaye ga Q k positive ulta ho jaye ga isi liye ham is ko Ac mein use nahi kar skte
Non Polarize capacitor:
non polarize me in positive negative nahi hota isko hum Ac and Dc dono types mein easily use kar skte hain.
Variable capacitor:
Variable ko hum Veri kar skte hain yani hum is k capacity ki value ko kam ya zeyada kar skte hain
is k waise to bohat sare kam hain lekin Dc circuits mein jo main kaam hai who ye hai k ye current ko smooth ya filter karne ka kam karta hai jaise hum Ac ko Dc convert karte hain to wo smooth nahi hota to capacitor us ko bilkul smooth and filter kar deta hai is ka use steblizers mein b kiya jata hai,.
Capacitor Checking
Capacitors ki checking is ki nisbat bohat hi asan hoti hai is ko chek karne k liye aap multimeter ko ohm par set kar k check karen kuch number aayen gy aur phir chale jayen gy yani capacitor charge ho gya hai phir aap multimeter ko voltage par set karen kuch voltage show hon gy aur sl;owly slowly kam ho jayen gy yani capacitor discharge ho jaye ga, agar ayesa hai to aap ka capacitor bilkul theik hai wese to bohat sy capacitor phool kar moty ho jaty hein jinko dekh kar bina cgheck kiye hi pata chal jatas hai k ye kharab hai.
0 Comments