Business Kaise Karen - How to start Home Based Business

Business Kaise Karen - How to start Home Based Business
American small business administration ( SBA ) k office of advocacy ki search ko dekhty huye bat karen to, America mein home based business karny waly afrad ko har saal $102 billion ki income hoti hai. mehengai aur roz marra ki zindagi k expenses ka jaiza liya jaye to is tarha ki income sy bohat had tak sakoon milta hai apki kafi problems solve ho jati hein.agar aap b ghar beth kar koi bussiness karna chahty hein to aj k article mein hum apko ye sab moky farahm karen gy jinki badolat aap achi khasi income generate kar sakty hein to chalen start karty hein.

Step 1: Apne Liye suitable business find Karen.
home based business shuru karny k liye ye sab se thaka deny wali soch ho sakti hai k konsa business start karen jo sab sy best ho aur apky liye faida mand ho. q k aap us kaam mein kamyab ho saken gy jis mein apko maharat hasil hai to is liye business choose karty waqat is bat ko lazmi mind mein rakhen k aap kya karny waly hein. agar aapko smajh nahi aa raha to phir nichy bate gaye points ko follow karen aap k liye kafi asani ho jaye gi.

Faisla Karen K Kya Aap business mind rakhty Hain?
is se kisi b kaarobar ko chalanay k liye kafi zeyada madad millti hai. agar aap kamyab karobari logon ki zindagi par goir karen to aap ko ye maloom ho ga k wo risk leny waly hoty hein wo nuqsan sy nahi darty q k agar aap nuqsan sy dar gaye to aap aagy nahi chal sakty q k profit aur nuqsan to business ka ek part hai is liye apny apka mind is tarha set karen k apko bas mehnat karni hai faida aur nuqsan al;lah ki marzi hai.

kisi b kaarobar k baray mein faisla karne sy pehly apny aap par ghor karen k aap mein is karobaar k about qabliyat hai ya nahi aap isko easily manage kar saken gy ya nahi agar apko mazeed trianing ki zarurat hai to pehly usko lazmi sy lyn ta k apko kamyab business man banny k liye koi b rukawat naa aye is k ilawa aap k andar bardashat hona boihat zaruri hai q k aagy chal kar apko dusry logon k sath mil kar kaam karna hota hai is k ilkawa ap ny customers ko b deal karna hota hai jis mein aap k pas achy aur bury dono tarha k log aayen gy.
apny businees sy related logon k sath mashwara zarur karen taa k apoko is bat ka idea ho sake k apko kis jaga par improvment ki need hai aur aap kese isko better bana sakty hein.

Part Time Jobs:
agar aap already kisi aur jaga par kkam kar rahyu hein ya kisi factory etc mein employee hein aur apky ghar ka sara nizam usi inmcome sy chal raha hai to ap on time us job ko leave mat karen aap apny business ko part time job k tor par handle karen jis mein misal k tor par agar aap teacher hein aur apko pata hai k aap 2p[m k bad free ho jaty hein to ghar ayen thora aram karen us k bad kisi b fast food ka stall lga lo ye kam maghrib k bad rat tak chalta rehta hai aur ye ek bohat profitable business hai.

Business Plan:
is k bad aap apny business ki planning karen sab sy pehly is bat ko dekhen k jis area mein aap business sytart karna chahty hein wahan ki zarurat kya hai . q k business ko kamyab karny ka ek ye golden point hai jo sab sy lazmi hai is k ilawa apni finance par b ghoor karen k apky pas kitni inmvestment hai us k mutabik business start karen ta k apka hisab unbalance na ho.

Fix the Price:
karobar start karny sy pehly apni shop par mojud cheezon ki list bana kar un sab ki prices mention karen ta k jab customer aye aap usko achi tarha sy deasl kar saken apko on time sochna na pady k ye cheez kitny mein main ny purchase ki thi aur ab kitny mein sale karni hai sab sy best ye rahy ga k aap price list bana kar usko apni shop mein latka den.

Step 2: Qanooni Hasiyat Ka khayal Karen
business ki starting jo b qanoni pacheedgi ho isko pehly dur lazmi karen govt k taxex pay karen is k ilawa jo jo documents required hein unko lazmi hasil karen  misal k tor par agar aap food ka business karna chahty hein to apko food authority ki taraf sy ek certificate lena ho ga is k ilawa healh department ki taraf sy b apko ek certificate lena ho ga ye zaruri hai isko starting mein hasil karen warna bad mein mushkil ka samna karna ho ga.

is k ilawa agar aap apny business ko bohat aagy tak le kar jana chahty hein to us k liye kisi ek unique name ka intkhab karen aur us nam ko register karwa len ta k koi b apky karobar ki pehchan ko copy kar k apko nuqsan na peohcha saky is k ilawa aap ap apny karobar ki ek website b bna den jis par apky karobar ki services and information ko online karen.

Step 3: Apne Tajarbaat Aur Madadgaar Jama Karen
agar aap karobar mein bohat kam nuqsan uthana chahty hein to apny tajurbat sy lazmi sabaq hasil karen is k ilawa apny karobar k liye educated and business sy related maharat rakhny waly logon ka intkhab karen aur unko apna hony ka ehsas dilayen unko ye batyen k ye karobar unka b hai is liye wo b is k liye mehnat karen. is k ilawa aap apny employees ki need ka b khayal karen k unko kis cheez ki zarurat kis time hopti hai unky aram ka b khayal lazmi karen.

Business Marketing kese kare?
karobar ko kamyab karna hai to us ki marketing bohat zaruri hai agar logon ko karobar ka nahi pata apki shop ka nahi pata unko ye nahi pata k aap kon kon si services provide karty hein to wo apki shop tak nahi pohch sakty is liye karobar ki marketing bohat zaruri hai is k liye aap k paas bohat sy rasty mojud hein aap ishtahrat k through b ye kam kar sakty hein lekin agar aap digital services k through ye kam karna chahty hein to usky liye mera ye article read karen: Digital Marketing Kya hai? full info about Online marketing in Urdu Hindi

umeed karta hu k aj k article sy aap ny kafi kuch seekha ho ga isko share lazmi karen Good Bye!

Post a Comment

0 Comments