Blogger par new post kaise likhen aur Publish Karen Blogging Tips 2024

Blogger par new post kaise likhen aur Publish Karen Blogging Tips 2024

Agar aap ek blogger hein aur blogging karty hein ya blogging start karna chah rahy hein to aj ki ye post apky liye bohat zyada useful hony wali hai Q k aaj ki popst mein main aap ko btaon ga k Blogger par new post kaise likhty ahein aur usko publish kese karty hein - Is k ilawa main aaj aapko SEO) ki tips bhi donga ta keh apki post google mein asani sy rank kar saky aur aap heavy earning generate kar sako, 
kuch bloggers khaas tor par new bloggers post likh b lety hein aur post b kar lety hein lekin unki post professional nazar nahi aati aur jiski wja sy na wo google mein rank karti hai aur na hi us par visitor aaty hein. is liye aaj k mere is article ko dehan sy read karen ta k aap b apni posts ya article ko ek achi look de sako.

Blogger par new post kaise likhen aur Publish Karen Blogging Tips 2024

Blogger par new post kaise likhen:

Article kesa hona chahiye? Article hamesha unique likhny ki koshish kren, post seo friendly honi chahiay aur is mein zeyada se zeyada related keywords ko focus  karen post ko asaan alfaze mein write karen ta k har koi isko achi tarha samaj saky. headings ka use b karen aur ords ko bold b karen aur post k title ko 50 words se zeyada ka na hony dyn.
Blogger mein post likhny sy pehlyapny google account k through blogger mein login karen us k bad posts waly section mein jayen aur phir new post par click karen jese hi aap click karen gy ek big text editor khul jaye ga jis mein aap apna article ya post write karen gy us sy pehly apko mazeed us editor k kuch parts k about information deta hu usko ghoor sy parh k achi tarha samaj lyn.

Blogger par new post kaise likhe

1) Title: is k through aap ne title likhna hai is bat ko yad rakhen k is mein aap ne jo title write karna hai wo hi google k search engine mein index ho kar show hoga is liye title aayesa likhen k user ki tawajhu ka markaz ban jaye. title mein sirf wo words use karen jo apky article mein majud ho kuch bloggers traffic k chakkar mein apny paas sy b bohat kuch likh dety hein jiska faida hony ki bjaye ulta nuqsan hota hai aur unki post gooogle mein index nai hoti agar index ho b jaye to rank nahi karti aur unka sara time zaya ho jata hai sirf utna hi likhein jo apke article mein ho

2) Undo and Redo:  agar aap ny post mein galti sy koi word ya line galat likh li hai to aap undo se us ko khatam kar skty hain aur agar aap ny post mein koi line ya woprd likha hai aur ghalti sy wo delete ho gya hai to aap Redo se dobara usko wapis la skte hain ye boht amazing feature hai.

3) font style: is function se aap article ko khobsorat bnanay k liye mukhtalif font use kar skty hain.

4) font size: is function sy aap text k size ko change kar k bada ya chhota kar skty hain.

5) heading: is function sy aap post ko heading ya subheading de skte hain, better onpage seo k liye aap apne article mein heading use lazmi karen aur apni post sy related keywords b use karen.

6) Bold: is tool sy aap text ko bold kar skte hain yani aap text ko mota kar k likh skte hain.

7) italic: is k through aap text ko teda kar k likh skte hain.

8) underline: is feature se aap text ko underline kar skte hain.

9) ABC: is tool k through se aap text k darmyan mein line de sakty hain.

10) Text color: is function sy aap text ko apni pasand k color mein write kar skte hain.

11) Background color: is tool ki madad sy aap text k background mein ko koi bhi color de skte hain.

12) Link: is feature sy aap apni post mein koi b internal ya external link add kar skty hain.

13) Image: is tool ki help sy aap apni post mein images ko add kar skte hain.

14) Video: is feature ki help sy aap apni post mein video add kar skte hain.

15) Symbol: is feature ki madad sy aap apni post ya article mein koi bhi symbol add kar skte hain.

16) Paragraph: is tool ko ap default hi rehne dein lekin agar aap isko change karna chahen to kar skte hain.

17) Number list: agar aap apny article mein number wise kuch write karna chahty hein to aap is tool ki madad ly sakty hein.
 
18) Labels: labels ko post ki category ya tags bnany k liye use kiya jata hai ye b bohat aham tool hai isko b lazmi likha karen ye SEO mein b help karta hai.

19) Schedule: is tool mein 2 options hote hain ek automatic aur dosra time selective hota hai is ko aap automatic hi rehne dein.

20) Permalink: is function mein 2 option hoty hain ek automatic aur dosra custom lekin aap custom ko select kar ke apni post ka custom link choose karen.

21) Location: is feature se aap post mein apni location add kar skte hain k app kis jaga se post publish kar rahe hain.

22) Search description: is amazing tool ki madad sy aap apni post ki achi si description likhein ye hi search engine mein title k nechy show hogi is mein zeyada se zeyada 150 Characters likein.

23) Option: is tool ko post mein default hi rehne dein agar aap about us ka page bana rahe hain to phir isko disallow karen

24) Custom Robot Tags: is function ko b aap default hi rehne dein.

25) Save: is ki help se aap apni post ko save kar skte hain draft mein ta k light jany ki waja sy aap ki likhi hui post zaya na ho jaye.

26) Preview: is ki help sy aap publish karne se pehly post ka perview dekh skte hain k yeh post blog par kesi nazar aye gi.

27) Publish: agar apki post perfectly ready hai to is par click kar k aap apni post ko publish kar dein. 

Post a Comment

0 Comments