Blog b ek web site hi hota hai jisko hum kisi b plate farm par free hosting ya paid hosting ly kar banaty hein Blogger ek google ka product hai jis par hum free of cost apni website ya blog create kar sakty hein ye lifetime free hai is k koi annual ya monthly charges nahi hoty is k sath humko ek free domain jisko sub domain kaha jata hai milta hai. agar hum is k sath apni pasand ka koi aur domain com, xyz,net etc ka lagana chahein to laga sakty hein, jab hum blogger par blog banaty hein to usky sath hum ko ek basic simple sa theme ya template milta hai jo itna attractive nahi hota aur webvsite zyada professional nahi lagti, aj k is article mein main apko btaon ga k kis tarha hum blogger ka theme change vkar k apni marzi ka theme laga sakty hein aur google Adsense k liye best SEO themes b btaon ga aaj apko,
Blogger Template kaise install karen - is post mein Blogger Basic theme ko change karny ko discus karen gy jis mein hum blogger template ko change karna sekhein gy, sab se pehle apko template download karna hoga, kuch best templates k name ye hein, LiteSpot, Mag Pro, News Plus template aur theme blog ka bohat hi important hissa hota hai ye apko bohat research kar k aur soch samajh kar download karna chahiey Blogger template is type ka download karen jis type ya topic py apki website hai.
Blogger Template kaise download karen?
1: template ki designing aur look attractive honi chahiye lekin graphic kam hony chahey q k agar theme k graphics zyada hon gy to apki website ki speed bohat slow ho jaye gi. aur phir apki website rank karny mein problem kary gi is liye hamesha simple theme hi download karen.
2: template seo friendly or mobile friendly hona chahiey Q K bohat sy log mobile mein bi internet use karte hain template mobile friendly hai ya nahi test karne k liye ye wala tool use karen.
Page Speed Insights
kisi b themes wali website par visit karen aur jo theme ap download karna chahty hein pehly uska preview lyn usko obile mein open karen tab apko idea ho jaye ga k ye mobile par thek sy work kare ga k nahi jo theme aap k monbile par thk sy open ho usko hi download kar k pc ya mobile mein save kar lyn. aap free aur paid dono theme hi laga sakty hein lekin paid wala zyada better rehta hai q k us mein ap footer credit ko change kar sakty hein jab k free waly theme mein aap ayesa nahi kar sakty us mein theme k owner ka link hi apki website k footer mein show hota rahy ga. agar download ki hui file zip mein hai to usko extract karen ta k wo xml file mein change ho jaye aur upload karny k liye ready ho jaye.
blogger template ko website par upload kaise karen?
blogger par jayen or apni website ya blog par login karen usky bad side menu mein theme par click karien aur us k bad backup and restore par click karen aek popup window open ho jaye gi us par choose file ka option hoga us par click karen phir wahan wo folder open karen jis mein ap ny theme download kar k rakha hua hai waha sy temp ki xml file choose karien or upload kar dein kuch hi time mein apki template upload ho jaye gi. ab apni site ko open kar k check kasren aspki theme ready ho chuki hai.
Friends meri ek rai hai k aap mere course ki ek ek class ko follow karte jayen or sath sath apna blog bhi banate jayen jaise hi mera course khatam hoga idhar apka perfect blog ya website ready ho jaye gi kisi b kisam ka sawal ho to ap mujh sy comment section mein puch sakty hein.
0 Comments