Gaon Mein Business Karne ke 10 Business Ideas ?
Jahan koi problem ho ya koi cheez available na ho wahan hi karobar start karny ka chance mojood hai. is liye agar aap k village mein koi problem hai to us sy bhagna nahi balky usko apni income ka ek rasta bna lo, aur is sy income generate karo.! apny area k hisab sy wahan sab sab sy pehly reasearch karen k wahan k logon ko kya kya problems hein jin k liye unko city ki taraf jana parta hai ap unko wo cheezen gaon mein hi provide karen to unko b asani ho gi aur aap ki income ka b ek acha rasta ban jaye ga is liye aaj k is article mein main ny apni reasults k mutab kuch points akathy kiye hein jo aasj aap k sath share karu ga is liye aj k is article ko lazmi sy complete read karen.
1- Mobile Phone Ki Murammat:
aj k is dor mein har khaas o aam k pas mobile phone lazmi hota hai chahy wo village mein rehta ho ya city mein, lekin problem ye hoti hai k agar to ap village mein hein to apky mobile mein koi masla paida ho jaye to aap village mein usko repair nahi karwa sakty q k wahan par koi b mobile repairing ki shop nahi hoti, is liye is cheez ka faida uthya ja sakta hai aap village mein mobile repairng ki shop bnayen us sy logon ko city nahi jana pary ga aur aap ki b income start ho jaye gi.
2- Catering Business:
village aur city mein har jaga shadi ghami aur other functions hoty rehty hein is liye city mein to events hall mojuud hoty hein jahan tamam saholat di jati hai lekin village mein ayesa koi hall nahi hota jiski ki waja sy problem banti hai , to aap is kas b faida uthayen village mein ek small sa catering business start karen kuch tanbo aur bartan etc rakh lyn jinko aap rent par de kar achi khasdi income generate kar sakty hein.
3. Kapray ki Dukaan:
acha libaas har ek ki wish b hoti hai aur har ek ki basic need b hoti hai, shadi etc ho ya normal days ho clothes ki har time zarurat rehti hai lekin agar inko purchase karny ki baat ho to village mein ayesi koi shop nahi hoti jis sy hum apni pasand k dress purchase kar saken is liye ye b ek moka hai hamry liye k hum village meinkapry ki ek chhoti c shop start karen ta k logon ko city ki taraf move na karna pady aur hum b apny paisy kama saken.
4- Pick and Drop Service:
village mein rehty huye b kuch log city mein job karty hein ya city mein colleges ya university mein jaty hein jiskt liye unko daily village sy city ki taraf move karna padta hai, ap ek van ya car purchase karen aur pick and droop ki service start kar do is sy aap daily base and monthly base income hasil kar sakty hein, ye b ek kafi profit wala kaam hai.
5. Bakery:
gaon mein basic foods to hum daily use karty hein lekin agar koi guest aa jaye to usky liye hum ko biscuits and other bakery wali cheezon ki zarurat padti rehti hai jis k liye village mein hum ek bakery ki shop bana kar apny business ko run kar sakty hein.
6. Ghar Mein Sabzion Ka Baagh:
ab main jo point apko btany wala hu ye village sy zeyada city walon ki zarurat hai, apko daily ghar mein pakany k liye vegetable ki zarurat padti hai, jo log to apny kheton mein khud ugaty hein unko to koi problem nahi hoti lekin jinky pas kheet nahi hoti wo b ab ye kaam ghar mein kar k apni need ko cover kar sakty hein bus ap apny ghar mein ek chhoti si jaga mukhtis karen wahan apni zarurat k mutabik khud sabziyan ugaen, is k 2 benefits hon gy ek to apko daily fresh vegetable mily gi dusra apki income ki bachat ho gi.
7. Murghion Ka Kaarobar:
gaon mein logon k ghar city ki nisabat bohat bary hoty hein un k pas jaga kafi zeyada hoti hai is liye aap village mein hens yani murgiyon ya checken ka business start kar sakty hein us sy apko 2 faidy hon gy ek to ap checkin ka goshat sale kar sakty ho aur dusra aap un k andy yani eggs b sale kar k achy khasy paisy kama sakty hein, ye kafi easy aur profitable business hai isko lazmi try karen.
8. Dairy Business:
is business ko gaon ka logo kaha jaye to ghalat na ho ga is k through aap bhens palty hein aur unka milk daily sale karty hein q k ye b ek basic food hai jo har koi use karta hai, kheti bari k bad gaon mein ye dusra bara business hai jo apko faida de sakta hai.
9. Super Market Start Karen:
agar aapki jaib ijazat deti hai to aap gaon mein ek super store bna len jis par aap vegetable, bakery, cloths and other cheezen rakh lo is sy apki sale b bohat zeyada bar jaye gi aur jab sale zeyada ho gi to apki incom automaticly zeyada ho jaye gi.
10. Electronics Ka Showroom
gaon mein logon ko apny ghar mein use k liye ya apni betiyon ko jahez mein deny k liye city ki taraf jana padta hi q k gaon mein ayesi koi shop nahi hoti is liye agar aap gaon mein ek shop bna kar wahan par television, washing machine, fridge, aur dusri electronic ki cheezen rakh lyn to ye apky liye faida mand karobar ho ga is k ilawa aap inm cheezon ko kiston par bhi sale kar sakty hein.
0 Comments